Twitter par follower kaise badhaye in hindi [2022]


Twitter ka istemaal agar hum sahi tarike se kare to ye business ko boost karne ka bahut acha tool hai. ye aapko apke brand ko sahi user tak pahunchane se lekar aapke product ke branding me bahut aham role play karta hai.lekin iske liye zaruri hai aapko twitter par zyada se zyada log follow kare.

twitter par follower badhana hi sabkuch nhi hota aapko zyada logo se connect hone aur product ki branding ke liye twitter par active follower hona bhi bahut zaruri hai. business man kahte hai ki unhe 36 % customer twitter se hi milta hai. jo ki ek bada data hai. aur business ko boost karne ka bada hathyar.
Twitter par follower kaise badhaye in hindi

Step by step complete guide Twitter kya hai , ise kaise chalate hai, twitter par account kaise banate hai

Twitter follower badhane ka 4 mukhy category hai..


  • aap ka jo tweeting content ho woh informative ho ,jo dekhte ke sath log use retweet kare.
  • dusre ko followkare  taki woh user aapko bhi follow back de
  • aapke tweet asardar aur original hone chahiye
  • apne twitter account ko ads ke zariye zyada logo tak pahunchaye.
Ye hai wo kuch tips jisse aap apne follower kaafi teji se badha saktae hai.

1) zyada se zyada logo ko follow kare, khaskar aise logo ko hi follow kare jinke nyumber of followers aur number of following lagbhag barabar ho.

2)kuch tool use kar sakte hai jaise Hootsuite aur  sproutsocial  jisse aap apne tweets ke engagement aur visiblity badha sakte hai jisse automatic aapke no. of follower bhi badhenge.

3) Apni twitter bio ko perfect rakhe , dikhne me ye profesional  lage aur ye ye aapke aur business ko achi tarah dikhata ho.

4) Apne twitter bio aisa likhe jo aapke twitter search me rank karne me help kare, apne city ya state ka nam zarur likhe taki waha ke user aapko follow kare.

5)apne tweet me post relevant hashtag ka use kare , taki search me user ko aapko follow karne ke liye attract kare.

6) Aksar aise tweet kare jisme likhe " please retweet" isse aapke retweet zyada honge.

7)apne tweet image ke sath kare, researcher batate hai ye without image ke tweet se 18 % zyada engagement karti hai.

8) apne twitter account ko dusre social sites,business card aur website me promote kare.

9)apne twitter account me profile pic aur cover zarur lagaye. kyuki aksar log bina profile pic wali account ko follow nhi karte.

10) apne website me twitter follow button aur tweet widget ka istemal zarur kare.

11)Aksar motivtional aur inspirational quotes tweet kare ,ise log aksar retweet karte hai jisse apke tweet engagement badh jayegi.

12) apne sabse behtar aur ache tweet ko pin twet banaye jisse log aapke profile par aaye to apko follow zarur kare.

13) poll ke zariye question add kare ye aapke tweet engagement badhane me kaafi help karti hai.

14) apne follower se relevant tweet hi kare aur retweet bhi.

15) kabhi fake follower dusre website se nhi kharide. ye business boost karne me kuch help nhi karte. kyuki zyadatar inactive hote hai aur kabhi kabhi twitter account suspend karane ki wajah bhi ban jate hai.

aap ko sacha aur simple advice dena chahunga twitter follower badhane ke liye achche tweets lagatar karte rahe, jisse zyada se zyada retweet mile.ye aapke follower zarur badhayega.

Thank you
Twitter par follower kaise badhaye in hindi [2022] Twitter par follower kaise badhaye in hindi [2022] Reviewed by Amir Pathan on शनिवार, मार्च 09, 2024 Rating: 5

कोई टिप्पणी नहीं:

Blogger द्वारा संचालित.